Saturday, October 14, 2006

Shehar Ke Dukandaron

Shehar Ke Dukandaro Karobaar-E-Ulfat Mein Sood Kia Zian Kia Hai, Tum Na Jaan Pao Gay
Dil Ke Daam Kitne Hein Khuwab Kitne Mehnge Hein Aur Naqd-E-Jaan Kia Hai Tum Na Jaan Pao Gay
Sheher Ke Dukandaron, Sheher Ke Dukandaron

Koi Kaisay Milta Hai Phool Kaisay Khilta Hai Aankh Kaisay Jhukti Hai Saans Kaisay Rukti Hai
Kaisay Reh Nikalti Hai Kaisay Baatein Chalti Hai Shouq Ki Zabaan Kya Hai, Tum Na Jaan Pao Gay
Sheher Ke Dukandaron, Sheher Ke Dukandaron

Wasl Ka Sukoon Kya Hai, Hijr Ka Junoon Kya Hai, Husn Ka Fusoon Kya Hai, Ishq Ke Daroon Kya Hai
Tum Mareez-E-Danai Maslihat Ke Shaydai Raah-E-Gumrahan Kya Hai, Tum Na Jaan Pao Gay
Sheher Ke Dukandaron, Sheher Ke Dukandaron

Zakhm Kaisay Phaltay Hein Daagh Kaisay Jaltay Hein Dard Kaisay Hota Hai Koi Kaisay Rota Hai
Ashq Kia Hai Nalay Kia Dasht Kia Hai Chalay Kia Aah Kia Fughaan Kya Hai, Tum Na Jaan Pao Gay
Sheher Ke Dukandaron, Sheher Ke Dukandaron

//Namuraad Dil Kaisay Subah Shaam Kartay Hein Kaisay Zinda Rehtay Hein Aur Kaisay Martay Hein
//Tum Ko Kab Nazar Aayi Ghamzadoon Ki Tanhai Zeest Be-Umaan Kia Hai, Tum Na Jaan Pao Gay
//Sheher Ke Dukandaron, Sheher Ke Dukandaron

Janta Hoon Mein Tum Ko Zouq-E-Shaiyri Bhi Hai Shaksiyat Sayjanay Mein Ik Yeh Mahiri Bhi Hai
Phir Bhi Harf Chuntay Ho Sirf Lafz Suntay Ho In Ke Darmiyaan Kya Hai, Tum Na Jaan Pao Gay
Sheher Ke Dukandaron, Sheher Ke Dukandaron

No comments: