Saturday, October 14, 2006

Sham Savere Nain Bichha Kar

shaam savere nain bicha ker raah takon mein sajan ki
ram he janay kab chamke gi qismat mere angan ki
shaam savere nain bicha ker raah takon mein sajan ki
shaam savere nain bicha ker...

ghar ghar meri preet ka charcha ghar ghar mere prem ki baat
pankh bina he urh jati hai baat dilon ke bandhan ki
//shaam savere nain bicha ker raah takon mein sajan ki
shaam savere nain bicha ker...

nain chura ke jab se sayyan duur kaheen pardes gaye
birhan ki akhiyon se barse bin sawan rut sawan ki
shaam savere nain bicha ker raah takon mein sajan ki
shaam savere nain bicha ker...

haal pareshaan baal praeshaan khoyi khoyi rehti hoon
aisa jadu daar gaye hein sud bisrayi tan mun ki
shaam savere nain bicha ker raah takon mein sajan ki
shaam savere nain bicha ker...

preetam ka munn mera munn hai uski aasha meri hai
pee ke naina mere naina dasi hoon mein sotan ki
shaam savere nain bicha ker raah takon mein sajan ki
shaam savere nain bicha ker...

pardesi ke sung gayi thi bhol na jaye raah kahin
lout ke aana bhol gayi hai jout hamare nainan ki

No comments: