Saturday, October 14, 2006

Aag Daman Mein Lag Jaye Gi

Aag Daaman Mein Lag Ja'ay Gi
Dil Mein Shola Machal Ja'ay Ga

Mera Saagar Na Choona Kabhi, Saathiya Haath Jal Ja'ay Ga
Mere Ashq Bhi Hain Is Mein, Yeah Sharaab Ubal Na Ja'ay
Mera Jaam Choonay Walay, Tera Haath Jal Na Ja'ay

Aik Din Woh Zaroor Aa'in Gay, Dard Ka Saya Tal Ja'ay Ga
Is Zamanay Ki Parwa Nahi, Yeah Zamana Badal Ja'ay Ga

Aa Gaya Mera Aankhon Mein Dam, Ub Jo Jalwa Dikha Di Jiyeah
Aap Ki Baat Reh Ja'ay Gi, Mera Armaan Nikal Ja'ay Ga

Besabab Hum Say Rootho Na Tum, Yeah Larai Buri Cheez Hai
Yeah Ada Hai Ya Dil Ka Jalana, Hum Manatay Hein Tum Roothtay Ho
Hum Jo Roothay To Pashtao Gay Tum, Rooz Tum Ko Manana Paray Ga

Milna Hai Jo Ghairoon Say To Phir Saaf He Keh Do, Yoon Rooth K Janay Ka Bahana Nahi Acha
Besabab Hum Say Rootho Na Tum, Yeah Larai Buri Cheez Hai
Sulah Ker Lo Khuda K Liyeah, Yeah Bura Waqt Tal Ja'ay Ga

Mai Kashoon Us Nazar Ki Suno, Keh Rahi Hai Wo Shola Badan
Mein Nahi Jaam Mein Aag Hai Jo Pi Jiyeah Woh Jal Ja'ay Ga

Koi Aanso Nahi Aankh Mein Baat Ghar Ki Abhi Ghar Mein Hai
Tum Jo Yoon He Satatay Rahay Dard Aashiqoon Mein Dhal Ja'ay Ga

Duur Hein Jab Talak Tum Say Hum Kaisay Hoga Mudawa E Gham
Aik Dafa Tum Milo To Sanam Gham Khushi Mein Badal Ja'ay Ga

Gar Yoon Hi Ghar Mein Baithay Raha Maar Daalay Gi Tanhaiyaan
Chal Zara Mai-Kaday Mein Chalein Ay Fanaa Dil Behal Ja'ay Ga

No comments: