Saturday, October 14, 2006

Angrai Peh Angrai

Raazdaroon Say Bach K Chalta Hoon
Gham Gusaron Say Bach K Chalta Hoon
Mujh Ko Dhoka Dia Saharoon Nai
Ub Saharoon Say Bach K Chalta Hoon

Shab-E-Gham Ki Sahar Nahi Hogi
Wo Bhi To Meray Ghar Nahi Hogi
Zindagi Tu He Mukhtasar Hoja
Shab-E-Gham Mukhtasar Nahi Hogi

Raat Yoon Dil Mein Teri Bholi Howi Yaad Aayi
Jaisay Weeranay Mein Chupkay Say Bahar Aa Jayi
Jaisay Sehraon Mein Honay Say Chalay Baad-E-Nasim
Jaisay Beemar Ko Be-Wajhay Qaraar A Jayi

Mein Nay Pur Noor Sitaroon Mein Tujhay Dekha Hai
Mein Nay Masoom Baharoom Mein Tujhay Dekha Hai
Meray Mehboob Teri Parda Nashini Ki Qasam
Mein Nay Ashqoon Ki Qataron Mein Tujhay Dekha Hai

Aaj Ki Baat Phir Nahi Hogi Yeah Mulaqat Phir Nahi Hogi
Aisay Badal To Phir Bhi Aain Gay Aise Barsaat Phir Nahi Hogi
Raat Un Ko Bhi Yoon Howa Mehsoos Jaisay Yeah Raat Phir Nahi Hogi
Ik Nazar Mur K Dekhnay Walay Kia Yeah Khairaat Phir Nahi Hogi

Angrai Peh Angrai Leti Hai Raat Judai Ki
Tum Kia Samjho Tum Kia Jano Baat Meri Tanhai Ki
Angrai Peh Angrai Leti Hai Raat Judai Ki
Tum Kia Samjho Tum Kia Jano Baat Meri Tanhai Ki

Toot Gaye Sayyal Nageenay, Phoot Bahay Rukhsaroon Per
Dekho Mera Saath Na Dena, Baat Hai Yeah Ruswai Ki
Kon Siyahi Ghol Raha Hai, Waqt K Behtay Darya Mein
Mein Nai Aankh Jhuki Daikhi Hai, Aaj Kisi Harjayii Ki

Wasl Ki Raat Na Janay Kiyoon, Asrar Tha Un Ko Janay Ka
Waqt Say Pehlay Doob Ga’ay, Taroon Nai Bari Danaii Ki ...

No comments: