Saturday, October 14, 2006

Pilao Saqi

ilao Saqi Pilao, Keh Raat Baqi Hai
Pilao Saqi Pilao, Keh Raat Bagi Hai
Pilao Saqi Mere Saqi, Pilao Saqi Mere Saqi

Tu Hai Saqi-Zamana Teri Zaat Hai Yagana
Mujhe Hosh Hi Na Aye Koi Aisa Jaam De De Saqi
Pilao Saqi Mere Saqi, Pilao Saqi Mere Saqi

Dair-O-Haram Mein Chal Diyeah Dair-O-Haram Ke Loag
Jo Rind Thay Woh Teri Panahon Mein Aa Gaye
Pilao Saqi Mere Saqi, Pilao Saqi Mere Saqi

Wada-E-Ishq Pilao To Koi Baat Banay
Tishnagi Meri Bujhao To Koi Baat Banay Saqi
Pilao Saqi Mere Saqi, Pilao Saqi Mere Saqi

Baadal Ki Tarha Jhoom Ke Lehra Ke Piyein Gay, Saqi Tere Maikhane Pe Hum Ja K Piyein Gay
Daikhen Ge Aata Hai Kidhar Se Gham-E-Duniya, Saqi Tujhe Hum Saamne Bithla K Piyein Gay
Pilao Saqi Pilao Ke Raat Baaqi Hai

Pilao Saqi Mere Saqi, Pilao Saqi Mere Saqi
Chalaao Daur Chalao Ke Raat Baaqi Hai
Chalaao Daur Chalao Ke Raat Baaqi Hai

Rahay Na Tishnagi Dil Ki, Karam Yeh Ho Ja'ay
Nazar Nazar Say Milao, Keh Raat Baaqi Hai
Nazar Nazar Say Saqi Milao, Nazar Nazar Say Saqi Milao

Saqi Mujhay Sharaab Ki Tohmat Nahi Pasand
Mujh Ko Teri Nigah Ka Ilzaam Chahiyeah Saqi
Nazar Nazar Say Saqi Milao, Nazar Nazar Say Saqi Milao

Saqia Mujh Ko Teri Mast Nigahon Ki Qasam
Tu Nay Bewada Mujhay Mast Bana Rakha Hai
Nazar Nazar Say Saqi Milao, Nazar Nazar Say Saqi Milao

Hon Jo Das Bees Sharabi To Woh Tauba Kar Lein
Shehr Ka Shehr Hai Dooba Howa Maikhanay Mein
Nazar Nazar Say Saqi Milao, Nazar Nazar Say Saqi Milao

Haye Ye Zulf-E-Pareshan Dekh Kar, Mein Chalakta Jaam Kaisay Chor Doon
Ya To Iss Kaali Ghata Ko Rok Lo, Ya Ijazat Do Ke Tauba Tor Doon
Nazar Nazar Say Saqi Milao, Nazar Nazar Say Saqi Milao

Sara Jahan Karay Ga Meri Maikashi Pe Rashk
Teri Haseen Nigah Agar Jaam Ban Gayi Saqi
Nazar Nazar Se Saqi Milao, Nazar Nazar Se Saqi Milao

Teri Nazron Ki Haqeeqat Koi Mujh Se Poochay
Aankh Ki Aankh Hai Paimanay Ka Paimana Hai
Nazar Nazar Se Saqi Milao, Nazar Nazar Se Saqi Milao

Daikh Lo Tum To Gulistan Abhi Maikhana Banay
Aaankh Jiss Phool Pay Daalo Wohi Paimana Banay Saqi!
Nazar Nazar Se Saqi Milao, Nazar Nazar Se Saqi Milao

Mein Jaam Uthata Hoon Tu Angrai Lay
Mumkin Hai K Is Tarha Bahar Aa Gaye, Mere Saqi!
Nazar Nazar Say Saqi Milao, Nazar Nazar Say Saqi Milao

Nazar Nazar Say Milao Keh Raat Baaqi Hai
Kahin Na Maikada Tareekion Say Chup Ja'ay
Abhi Na Shamma Bujhao Keh Raat Baaqi Hai

Rahay Na Hosh Mujhay Umr Bhar Ka Ay Saqi
Rahay Na Hosh Mujhay Umr Bhar Ka Ay Saqi
Kuch Iss Tarha Se Pilao Keh Raat Baaqi Hai

Para He Rehnay Do Chaukhat Pay Noor Ko Saqi
Para He Rehnay Do Chaukhat Pay Noor Ko Saqi
Isay Na Hosh Mein Lao Keh Raat Baaqi Hai

Pilao Saqi Pilaao Keh Raat Baaqi Hai
Pilao Saqi Pilaao Keh Raat Baaqi Hai...

9 comments:

Unknown said...

Ustad ap ki haqeeqat koi mujh sai puchy mere saqi

Unknown said...

I still cry when i miss him

Unknown said...

Dair-O-Haram Mein Chal Diyeah Dair-O-Haram Ke Loag
Jo Rind Thay Woh Teri Panahon Mein Aa Gaye
Is ki english meaning koi bta saky agr ty.

Adnan said...

Pious ppl going to their holy places,
Rest looking shelter from you
But to be honest translation doesn’t reflect the exact.

Unknown said...

Kamaal poetry

Unknown said...

Zabardast

Unknown said...

hay vy Chacha Nusrat 😁

Rizwan said...

Yaar salute hai nusrat per. I love you nfak

Everything is free🤷🏻‍♂ said...

Dair-O-Haram Mein Chal Diyeah Dair-O-Haram Ke Loag
Jo Rind Thay Woh Teri Panahon Mein Aa Gaye.
Iska koi tarjuma btayega?