Saturday, October 14, 2006

Ham Ne Dekha Tha Ek Khawab

Yeh Hum Ne Dekha Tha Khuwab Pyaray Naddi Kinaray
Yeh Hum Ne Dekha Tha Khuwab Pyare, Naddi Kinaray
Zameen Pay Utray Thay Do Sitaray Naddi Kinaray

Na Janay Guzray Hein Kitnay Sawan Is Aarzo Mein
Kabhi To Koi Hamein Pukaray Nadi Kinaray
Zameen Pay Utray Thay Do Sitaray Naddi Kinaray
Yeh Hum Ne Dekha Tha Khuwab Pyare, Naddi Kinaray

Wohi Shajar Hai Wohi Hein Saray Magar Para'ay
Hein Apni Basti Ke Rung Saray Naddi Kinaray
Zameen Pay Utray Thay Do Sitaray Naddi Kinaray
Yeh Hum Ne Dekha Tha Khuwab Pyare, Naddi Kinaray

Kabhi Idhar Say Guzar Ke Daikho To Yaad Aa'ein
Woh Kaun Apne Wachan Tumhare Naddi Kinaray
Zameen Pay Utray Thay Do Sitaray Naddi Kinaray
Yeh Hum Ne Dekha Tha Khuwab Pyare, Naddi Kinaray

Kati Hai Ik Umr Humnasheen Ke Baghair Apni
Koi To Apni Tarah Guzaray Naddi Kinaray
Zameen Pay Utray Thay Do Sitaray Naddi Kinaray
Yeh Hum Ne Dekha Tha Khuwab Pyare, Naddi Kinaray

Tumhein Na Daikha To Raigaan Raigaan Lagay Hein
Sharaab Shabnum Shafaq Shararay Naddi Kinaray
Zameen Pay Utray Thay Do Sitaray Naddi Kinaray
Yeh Hum Ne Dekha Tha Khuwab Pyare, Naddi Kinaray

Yeh Ghar Ki Tanhaiyaan To Mohsin Sada Rahein Gi
Chalo Sahar Ki Hawa Pukaray Naddi Kinaray

No comments: